Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2021

Ek Samay

Ek samay who bhi tha jab, Suraj aur Chandrama, din ho yah raat sath mey ek aasman mey rehte they. Woh mausam bhi kya suhana hua karta tha... Woh tez joh aasman mey hua karta tha, nah kahi andhakar naa kahi tanha pan. Har jagha khushali aur khushiyan. Lekin aisey kismet ki lakir kheechi thi, ki Khuda koh kuch aur hi gawara tha. Samay ke sath Chandrama ka tez aur aakar ghat ney laga. Tabhi Baadlo ney aisi sajish rachi ki sab bikhar gaya. Baadlo ney Suraj sey kaha ki tere sundar neele aasman mey iss chote daag bhare Chaand ki kya jagha hai? Balki woh toh tumhare roshni aur sundarta koh ghata raha hai. Ussey tum aapney niley aasman sey haata do.  Phir kuch din baad baadal aisey garaje, aur kali ghata aisey  barse ki, Suraj baadal ki chaahat mey Chandrama pey baras pada. Chandrama ko Suraj ney aapne niley aasman sey nikal diya. Ussey kaha ki woh phir kabhi appna daag bhara chehra naa dikhaye. Chandrama toh bus suraj ki chaahat mey thi. Ussey na hi niley aasman yaa phir suraj ke tez ka lobh