Ek samay who bhi tha jab, Suraj aur Chandrama, din ho yah raat sath mey ek aasman mey rehte they. Woh mausam bhi kya suhana hua karta tha... Woh tez joh aasman mey hua karta tha, nah kahi andhakar naa kahi tanha pan. Har jagha khushali aur khushiyan.
Lekin aisey kismet ki lakir kheechi thi, ki Khuda koh kuch aur hi gawara tha. Samay ke sath Chandrama ka tez aur aakar ghat ney laga. Tabhi Baadlo ney aisi sajish rachi ki sab bikhar gaya. Baadlo ney Suraj sey kaha ki tere sundar neele aasman mey iss chote daag bhare Chaand ki kya jagha hai? Balki woh toh tumhare roshni aur sundarta koh ghata raha hai. Ussey tum aapney niley aasman sey haata do.
Phir kuch din baad baadal aisey garaje, aur kali ghata aisey barse ki, Suraj baadal ki chaahat mey Chandrama pey baras pada. Chandrama ko Suraj ney aapne niley aasman sey nikal diya. Ussey kaha ki woh phir kabhi appna daag bhara chehra naa dikhaye. Chandrama toh bus suraj ki chaahat mey thi. Ussey na hi niley aasman yaa phir suraj ke tez ka lobh tha. Ussey toh bus suraj ki chaahat thi. Ussey toh laga tha ki Suraj toh usi ka hai....Ussey toh bus Suraj key naam mey khona tha.
Chandrama, suraj ko jeet tey jeet tey, khudse haar gayi. Ussney Suraj ki chaahat aur uski khushi ke liye aasman ko tyag diya. Khud anant kaal key liye andhakar mey tanha bhatak ti rahi. Tadap na uska aur hasna Suraj ka....lekin yeh jeevan uska, ussney appni kushiyaan suraj ke naam ki...
.
.
.
Iss kahani ko phir kisi tanha raato mein aapko suna unga... aap bhi bewajha yun hi sunney aajana.
Comments
Post a Comment